Posts

Showing posts from 2021

NN NEWS::Distribution Of Shadi Mubarak Scheme Cheques In Karwan Constituency !!!

Image
  NN NEWS::Distribution Of Shadi Mubarak Scheme Cheques In Karwan Constituency !!! On The Instructions Of AIMIM President Barrister Asaduddin Owaisi Sahab Today AIMIM Karwan MLA Kausar Mohiuddin Sahab Along With MRO Shaikpet Staff Distributed 185 Shadi Mubarak Scheme Cheques To The Beneficiaries Of Shaikpet Mandal At Falak Function Hall In Hakeempet.  On This Occasion AIMIM Party Corporator Haroon Farhaan Sahab, Senior Leaders And Active Workers Were Accompanied By MLA Sahab.

I want to know some Islamic names of baby boy and girl which are similar to marufa and Sahil

Image
  I want to know some Islamic names of baby boy and girl which are similar to marufa and Sahil Huzaifa and Rahil

Mukashifatul quloob* *Zakaat aur Bukhal**Huzoor ﷺ ne panch baatow se Allah ki panah mangi* :-

Image
  Mukashifatul quloob* *Zakaat aur Bukhal**Huzoor ﷺ ne panch baatow se Allah ki panah mangi* :- Farman e Ilahi hai, jo log Allah tala ke ata karda maal mein bukhal karte hain wo usey apne liye behtar na samjhein balke ye inke liye musibat hai, anqareeb bukhal karda maal se qayamat ke din inko towq pehnaye jayenge. Farman e Ilahi hai, inn mushrikeen ke liye halakat hai jo zakaat nahi ada karte. Iss Ayat e Kareem mein Allah tala ne Zakaat na dene walo ko mushrik kaha hai. Farman e Nabawi ﷺ hai, jo shaks apne maal ki Zakaat ada nahi karta, qayamat ke din iska maal ganje saanp ki shakal mein iski gardan mein jhool raha hoga. *Huzoor ﷺ ne panch baatow se Allah ki panah mangi* :- Farman e Nabawi ﷺ hai aye giroh muhajireen! Panch balaein hain jin ke mutalliq mai Allah tala se tumhare liye panah mangta hun, jab kisi qowm mein khullam khulla badkareeyan hoti hain tow Allah tala inn par aise makroohaat nazil karta hai jo pehle kisi par nazil nahi hote, jab koi qowm naam tol mein kami karti hai t

Mukashifatul quloob* *Ek bakheel munafiq* :-Allah Ke Naam Par....

Image
Mukashifatul quloob* *Ek bakheel munafiq* :-Allah Ke Naam Par.... Ek munafiq intehayi bakheel tha, usne apni biwi ko qasam di ke agar tu ne kisi ko kuch diya tow tujh par talaq hai. Ek din ek sael udhar aa nikla aur usne khuda ke naam par sawal kiya, aurat ne usey teen rotiyan dedi, wapas mein usey wahi bakheel mil gaya aur pucha tujhe ye rotiyan kisne di hain? Sael ne uske ghar ke mutalliq bataya ke mujhe wahan se mili hain. Bakheel tezz qadmo se ghar ki taraf chal pada aur ghar pahonch kar biwo se bola mai ne tujhe qasam nahi di thi ke kisi sael ko kuch nahi dena? Biwi boli sael ne Allah ke naam par sawal kiya tha lehaza mai radd na karsaki.  Kanjoos ne jald se tanoor bhadkaya , jab tanoor surkh hogaya tow biwi se kaha uth Allah ke naam par tanoor mein dakhil hoja. Aurat khadi hogayi aur apne zewaraat lekar tanoor ki taraf chal padi, kanjoos chillaya ke zewaraat yahin chod ja. Aurat ne kaha aj mera mehboob se mulaqaat ka din hai, mai iski bargah mein bin sanwar kar jaungi, aur jaldi

Mukashifatul quloob* *Hazrat Ibrahim Adham aur Hazrat Shaqeeq Balkhi ke darmiyan sawal jawab*

Image
  Mukashifatul quloob* *Hazrat Ibrahim Adham aur Hazrat Shaqeeq Balkhi ke darmiyan sawal jawab* :- Hazrat e Ibrahim bin Adham aur Hazrat e Shaqeeq Balkhi rahmatullah tala ki makkah mu'azama mein mulaqaat hui, Ibrahim ne pucha aye Shaqeeq Balkhi! Tum ne ye buland martaba kaise paya? Janab e Shaqeeq ne jawab diya ke ek martaba mera ek bayaban se guzar hua, wahan mai ne ek aisa parindah pada dekha jiske dono bazu tuth gaye the. Mere dil mein ye waswasa paida hua ke dekhun tow sahi usey kaise rizq milta hai, mai wahan baith gaya, kuch derr baad ek parindah aya jiski chonch mein ek tiddi thi aur isne woh parinde ke munh mein dal diya, mai ne dil mein soncha ke woh Raziq e Kayenaat ek parinde ke zariye dusre parinde ka rizq pohancha deta hai, mera rizq bhi mujhe har halat mein pohancha sakta hai lehaza mai ne sab karobar chodiye aur ibadat mein masroof hogaya. Janab Ibrahim bin Adham rahmatullah alay ne kaha aye Shaqeeq! Tum ne majboor o mazoor parinda banna pasand kiya aur tandrust pari

Mukashifatul quloob* Ibadat guzari o Tark e Haram :-

Image
  M ukashifatul quloob* Ibadat guzari o Tark e Haram :- Taa'at ke mayene farayez ki adaegi, haram cheezon se parhez aur hudood e shar'a par kaarband hona hai, Hazrat e Mujahid rahmatullah alay, farman e Ilahi  وَلَا تَنسَ نَصِيبَكَ مِنَ ٱلدُّنْيَا  [Surah Al Qasas, 77] ke mutalliq kehte hain ke iska matlab hai ke bandah Allah tala ki ibadat o ita'at karta rahe.  Taa'at ki haqiqat :-  Taa'at ki haqiqat Allah tala ki ma'arifat, Khof e Khuda, Allah tala se umeed aur hamawaqt Allah tala ki taraf ruju hona hai, woh bandah jo inn awsaaf se khali hota hai woh imaan ki haqiqat ko nahi paasakta lehaza ita'at iss waqt tak sahi nahi hoti jab tak ke bandah Allah ki Ma'arifat aur be misal, be misaal qadir o khaliq Rab e Zuljalal ki tamam sifatow par imaan nahi lata.  Ek badowi ne Hazrat Muhammed bin Ali bin Hussain razi Allah anhum se arz ki ke tum ne Allah ko dekha hai? Iski ibadat karte ho? Ap ne farmaya haan dekh kar ibadat karta hun, pucha wo kaise? Ap ne farmaya

Mukashifatul quloob* *Hazrat e Isa alaihis salam ka ek waqiya:-*

Image
  M ukashifatul quloob* *Hazrat e Isa alaihis salam ka ek waqiya:-*  Marwi hai ke Hazrat e Isa alaihis salam baithe hue the aur ek budha phaowde se zameen khod raha tha, Ap ne Allah tala se dua mangi Aye Allah iss se zindagi ki umeed cheen le, budhe ne phaowda rakhdiya aur leyt gaya, jab kuch derr guzargayi tow Ap ne Allah tala se dua ki ke usey uski umeedein lauta de budha khada hogaya aur phaowde se zameen khodne laga tow Ap ne uska sabab pucha toh woh kehne laga, kaam karte hue mere dil mein khayal aya ke mai ab budha hogaya hun, kab tak ye kaam karta rahunga lehaza mai ne phaowda rakhdiya aur leyt gaya, kuch derr baad mere dil mein khayal aya tujhe zindagi guzar ne ke liye zaroor kuch na kuch karna chahiye chunache mai phaowda sanbhal kar phir khada hogaya aur kaam karne laga.

New Stock Of Flazo and Kurties

Image
  New Stock Of Flazo and Kurties

New Fancy Dress Material for Women

Image
  New Fancy Dress Material for Women

Mukashifatul quloob* *Riyazat o Khawheshat nafsani*

Image
  Mukashifatul quloob* *Riyazat o Khawheshat nafsani* _*Musa Alaihis Salam ko darood padhne ka hukm*_ Allah tala ne Hazrat Musa Alaihis Salam par wahi nazil farmai ke "Aye Musa! Agar tum chahte ho k mai tumhari zaban par tumhare kalam se, tumhare dil mein khayalat se, tumhare badan mein tumhari rooh se, tumhari ankhow mein noor basarat se aur tumhare kano mein quwwat sama'at se zyada khareeb rahun tow phir Muhammed ﷺ par kasrat se darood bhejo *الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ-*  Farman e Ilahi hai :-  *وَلْتَنظُرْ نَفْسٌۭ مَّا قَدَّمَتْ لِغَدٍۢ* *Har nafs ye dekhe ke usne qayamat k liye kya amal kiye hain* [Surah Al Hashr, 59:18] Aye insaan! Achi tarah samajhle ke tujhe burai ki taraf lejane wala tera nafs tere shaitan se bhi bada dushman hai aur shaitan ko tujh par teri khawheshat ki badowlat galba hasil hota hai. Lehaza tujhe tera nafs jhooti umeedow aur dhoke mein dale hai jo shaks bekhof hua aur gaglat mein giraftar hua, apne nafs ki paervi karta hai, iss insaan ka har

Mukashifatul quloob* *Jab musafir musafirat mein inteqal karta hai*

Image
Mukashifatul quloob *Jab musafir musafirat mein inteqal karta hai* Jab kisi musafir par naza'a ka alam taari hota hai tow Allah tala farishtow se farmata hai ye bechara musafir hai, apne ahl o ayal aur walidein wagaira chod chuka hai jab ye marega tow uss par koi tasuf karne wala bhi na hoga. Allah tala farishtow ko uske walidein, aulad aur khuwesh o aqarib ki shakal mein bhejta hai aur usi masrat mein uski rooh parwaz kar jati hai phir vo farishte pareshan haal hokar uske janazah ke piche piche chalte hain aur qayamat tak uski magfirat ki dua karte rehte hain, farman e ilahi hai:- *ٱللَّهُ لَطِيفٌۢ بِعِبَادِهِ* *Allah apne bandow par meherban hai* [Surah Ash-Shura, 42:19] Ibne Ata Rahmatullah alay kehte hain insaan ka sadq o kazab uski musibat aur shadmani ke waqt zahir hota hai, jo shaks shadmani o khush hali mein tow Allah tala ka shukar ada karta hai magar masaib mein faryad o fagan karta hai vo chota hai agar kisi ko do alam ka ilm ata kardiya jaye, phir ispar masaib ki yalgar

Jio Aur Jeene Do Jallado

Image
  Jio Aur Jeene Do Jallado Jio Aur Jeene Do Jallado Insaan Ko Insaan Rahnedo Yun Keede Makodaon ki Tarha Math Rondo MAOT Tumhare Sar Par Khadi hai Jaanlo Jo Dunya Chalaraha hai Woh Bada Powerful hai Math Bhulo Jab Woh Apni Laathi Chalaega, Na Mar Sakoge Na Jee Sakoge Apni Taqat Ka Ghalat Istemal Na Karo Insaniyat Baqi Rahnedo Kitne Dil Zakhmi Kiye,Kitni Jaane Tumne Li, Sabka Hisaab Dena Hai Yeh Math Bhulo Tum Kaon Ho Kahan Se Aae Ho,Tumhain Kisne Banaya Hai,Yeh Ghaor Karlo Insaaf Ko Baqi Rahnedo Warna Tumhain Bhi Insaaf Nahi Milega Jaanlo Jio Aur Jeene Do Jallado Insaan Ko Insaan Rahnedo

Popular posts from this blog

PIGEON IS BEST FOR PARALYSIS PATIENT

Benefits Of Aloe Vera

HEALTH BENEFITS OF PAPAYA

JAMUN BENEFITS IN ENGLISH And URDU