Posts

Showing posts from May, 2021

NN NEWS::Distribution Of Shadi Mubarak Scheme Cheques In Karwan Constituency !!!

Image
  NN NEWS::Distribution Of Shadi Mubarak Scheme Cheques In Karwan Constituency !!! On The Instructions Of AIMIM President Barrister Asaduddin Owaisi Sahab Today AIMIM Karwan MLA Kausar Mohiuddin Sahab Along With MRO Shaikpet Staff Distributed 185 Shadi Mubarak Scheme Cheques To The Beneficiaries Of Shaikpet Mandal At Falak Function Hall In Hakeempet.  On This Occasion AIMIM Party Corporator Haroon Farhaan Sahab, Senior Leaders And Active Workers Were Accompanied By MLA Sahab.

Mukashifatul quloob* Ibadat guzari o Tark e Haram :-

Image
  M ukashifatul quloob* Ibadat guzari o Tark e Haram :- Taa'at ke mayene farayez ki adaegi, haram cheezon se parhez aur hudood e shar'a par kaarband hona hai, Hazrat e Mujahid rahmatullah alay, farman e Ilahi  ÙˆَÙ„َا تَنسَ Ù†َصِيبَÙƒَ Ù…ِÙ†َ ٱلدُّÙ†ْÙŠَا  [Surah Al Qasas, 77] ke mutalliq kehte hain ke iska matlab hai ke bandah Allah tala ki ibadat o ita'at karta rahe.  Taa'at ki haqiqat :-  Taa'at ki haqiqat Allah tala ki ma'arifat, Khof e Khuda, Allah tala se umeed aur hamawaqt Allah tala ki taraf ruju hona hai, woh bandah jo inn awsaaf se khali hota hai woh imaan ki haqiqat ko nahi paasakta lehaza ita'at iss waqt tak sahi nahi hoti jab tak ke bandah Allah ki Ma'arifat aur be misal, be misaal qadir o khaliq Rab e Zuljalal ki tamam sifatow par imaan nahi lata.  Ek badowi ne Hazrat Muhammed bin Ali bin Hussain razi Allah anhum se arz ki ke tum ne Allah ko dekha hai? Iski ibadat karte ho? Ap ne farmaya haan dekh kar ibadat karta hun, pucha wo kaise? Ap ne farmaya

Mukashifatul quloob* *Hazrat e Isa alaihis salam ka ek waqiya:-*

Image
  M ukashifatul quloob* *Hazrat e Isa alaihis salam ka ek waqiya:-*  Marwi hai ke Hazrat e Isa alaihis salam baithe hue the aur ek budha phaowde se zameen khod raha tha, Ap ne Allah tala se dua mangi Aye Allah iss se zindagi ki umeed cheen le, budhe ne phaowda rakhdiya aur leyt gaya, jab kuch derr guzargayi tow Ap ne Allah tala se dua ki ke usey uski umeedein lauta de budha khada hogaya aur phaowde se zameen khodne laga tow Ap ne uska sabab pucha toh woh kehne laga, kaam karte hue mere dil mein khayal aya ke mai ab budha hogaya hun, kab tak ye kaam karta rahunga lehaza mai ne phaowda rakhdiya aur leyt gaya, kuch derr baad mere dil mein khayal aya tujhe zindagi guzar ne ke liye zaroor kuch na kuch karna chahiye chunache mai phaowda sanbhal kar phir khada hogaya aur kaam karne laga.

Popular posts from this blog

PIGEON IS BEST FOR PARALYSIS PATIENT

Benefits Of Aloe Vera

HEALTH BENEFITS OF PAPAYA

JAMUN BENEFITS IN ENGLISH And URDU