Posts

Showing posts from July, 2021

NN NEWS::Distribution Of Shadi Mubarak Scheme Cheques In Karwan Constituency !!!

Image
  NN NEWS::Distribution Of Shadi Mubarak Scheme Cheques In Karwan Constituency !!! On The Instructions Of AIMIM President Barrister Asaduddin Owaisi Sahab Today AIMIM Karwan MLA Kausar Mohiuddin Sahab Along With MRO Shaikpet Staff Distributed 185 Shadi Mubarak Scheme Cheques To The Beneficiaries Of Shaikpet Mandal At Falak Function Hall In Hakeempet.  On This Occasion AIMIM Party Corporator Haroon Farhaan Sahab, Senior Leaders And Active Workers Were Accompanied By MLA Sahab.

I want to know some Islamic names of baby boy and girl which are similar to marufa and Sahil

Image
  I want to know some Islamic names of baby boy and girl which are similar to marufa and Sahil Huzaifa and Rahil

Mukashifatul quloob* *Zakaat aur Bukhal**Huzoor ï·º ne panch baatow se Allah ki panah mangi* :-

Image
  Mukashifatul quloob* *Zakaat aur Bukhal**Huzoor ï·º ne panch baatow se Allah ki panah mangi* :- Farman e Ilahi hai, jo log Allah tala ke ata karda maal mein bukhal karte hain wo usey apne liye behtar na samjhein balke ye inke liye musibat hai, anqareeb bukhal karda maal se qayamat ke din inko towq pehnaye jayenge. Farman e Ilahi hai, inn mushrikeen ke liye halakat hai jo zakaat nahi ada karte. Iss Ayat e Kareem mein Allah tala ne Zakaat na dene walo ko mushrik kaha hai. Farman e Nabawi ï·º hai, jo shaks apne maal ki Zakaat ada nahi karta, qayamat ke din iska maal ganje saanp ki shakal mein iski gardan mein jhool raha hoga. *Huzoor ï·º ne panch baatow se Allah ki panah mangi* :- Farman e Nabawi ï·º hai aye giroh muhajireen! Panch balaein hain jin ke mutalliq mai Allah tala se tumhare liye panah mangta hun, jab kisi qowm mein khullam khulla badkareeyan hoti hain tow Allah tala inn par aise makroohaat nazil karta hai jo pehle kisi par nazil nahi hote, jab koi qowm naam tol mein kami karti hai t

Mukashifatul quloob* *Ek bakheel munafiq* :-Allah Ke Naam Par....

Image
Mukashifatul quloob* *Ek bakheel munafiq* :-Allah Ke Naam Par.... Ek munafiq intehayi bakheel tha, usne apni biwi ko qasam di ke agar tu ne kisi ko kuch diya tow tujh par talaq hai. Ek din ek sael udhar aa nikla aur usne khuda ke naam par sawal kiya, aurat ne usey teen rotiyan dedi, wapas mein usey wahi bakheel mil gaya aur pucha tujhe ye rotiyan kisne di hain? Sael ne uske ghar ke mutalliq bataya ke mujhe wahan se mili hain. Bakheel tezz qadmo se ghar ki taraf chal pada aur ghar pahonch kar biwo se bola mai ne tujhe qasam nahi di thi ke kisi sael ko kuch nahi dena? Biwi boli sael ne Allah ke naam par sawal kiya tha lehaza mai radd na karsaki.  Kanjoos ne jald se tanoor bhadkaya , jab tanoor surkh hogaya tow biwi se kaha uth Allah ke naam par tanoor mein dakhil hoja. Aurat khadi hogayi aur apne zewaraat lekar tanoor ki taraf chal padi, kanjoos chillaya ke zewaraat yahin chod ja. Aurat ne kaha aj mera mehboob se mulaqaat ka din hai, mai iski bargah mein bin sanwar kar jaungi, aur jaldi

Mukashifatul quloob* *Hazrat Ibrahim Adham aur Hazrat Shaqeeq Balkhi ke darmiyan sawal jawab*

Image
  Mukashifatul quloob* *Hazrat Ibrahim Adham aur Hazrat Shaqeeq Balkhi ke darmiyan sawal jawab* :- Hazrat e Ibrahim bin Adham aur Hazrat e Shaqeeq Balkhi rahmatullah tala ki makkah mu'azama mein mulaqaat hui, Ibrahim ne pucha aye Shaqeeq Balkhi! Tum ne ye buland martaba kaise paya? Janab e Shaqeeq ne jawab diya ke ek martaba mera ek bayaban se guzar hua, wahan mai ne ek aisa parindah pada dekha jiske dono bazu tuth gaye the. Mere dil mein ye waswasa paida hua ke dekhun tow sahi usey kaise rizq milta hai, mai wahan baith gaya, kuch derr baad ek parindah aya jiski chonch mein ek tiddi thi aur isne woh parinde ke munh mein dal diya, mai ne dil mein soncha ke woh Raziq e Kayenaat ek parinde ke zariye dusre parinde ka rizq pohancha deta hai, mera rizq bhi mujhe har halat mein pohancha sakta hai lehaza mai ne sab karobar chodiye aur ibadat mein masroof hogaya. Janab Ibrahim bin Adham rahmatullah alay ne kaha aye Shaqeeq! Tum ne majboor o mazoor parinda banna pasand kiya aur tandrust pari

Popular posts from this blog

PIGEON IS BEST FOR PARALYSIS PATIENT

Benefits Of Aloe Vera

HEALTH BENEFITS OF PAPAYA

JAMUN BENEFITS IN ENGLISH And URDU