Posts

Showing posts from November, 2022

NN NEWS::Distribution Of Shadi Mubarak Scheme Cheques In Karwan Constituency !!!

Image
  NN NEWS::Distribution Of Shadi Mubarak Scheme Cheques In Karwan Constituency !!! On The Instructions Of AIMIM President Barrister Asaduddin Owaisi Sahab Today AIMIM Karwan MLA Kausar Mohiuddin Sahab Along With MRO Shaikpet Staff Distributed 185 Shadi Mubarak Scheme Cheques To The Beneficiaries Of Shaikpet Mandal At Falak Function Hall In Hakeempet.  On This Occasion AIMIM Party Corporator Haroon Farhaan Sahab, Senior Leaders And Active Workers Were Accompanied By MLA Sahab.

Mukashifatul quloob* Musalman ke liye ye jayez nahi hai ke woh apne bhai se 3 din se zyadah qata'a talluq kare

Image
Mukashifatul quloob* Musalman ke liye ye jayez nahi hai ke woh apne bhai se 3 din se zyadah qata'a talluq kare Hazrat Abu Ayyub Ansari radi Allahu anhu se marwi hai Rasool ﷺ ne farmaya kisi musalman ke liye ye jayez nahi hai ke woh apne bhai se 3 din se zyadah qata'a talluq kare, dono ek dusre ke saamne aaen, ye idhar muh pher kar guzar jaye aur woh udhar se muh phere chala jaye. Inn mein se behtar woh hai jo salaam karne mein pahel kare. Farman e Nabawi ﷺ hai jisne kisi musalman bhai ko uski laghzish ke sabab chordiya Allah tala usey qayamat mein chordega. Akarma se marwi hai Allah tala ne Yousuf alaihis salam se farmaya, bhaiyon se tere aafu o darguzar ki wajah se mai ne do alam mein tera zikr buland kardiya hai. Hazrat e Ayesha radi Allahu anha se marwi hai Huzoor ﷺ ne apni zaat ki khatir kabhi kisi se inteqaam nahi liya, haan jab hudood Allah ki baat hui thi tow Aap ﷺ Allah ki raza joi ki khatir badla liya karte the. Hazrat e Ibn e Abbas radi Allah anhuma ka qowl hai, koi s

Mukashifatul quloob* Huqooq Al Ibadah mein ye baat bhi dakhil hai ke.......

Image
  Mukashifatul quloob* Huqooq Al Ibadah mein ye baat bhi dakhil hai ke....... Hazrat Ibn Abi Awfa radi Allah anhu se marwi hai ke Huzoor ﷺ har musalman se tawaze se pesh aate aur bewah aur miskeen ke saath chal kar inki hajat rawai karne mein aar mehsoos na farmate aur na takabbur se kaam lete. Huqooq Al Ibadah mein ye baat bhi dakhil hai ke logaon ki baatein ek dusre ko na batai jaaen aur kisi ki baat sunkar kisi dusre ko na sunai jae. Farman e Nawabi ﷺ hai ke chulghal khor jannat mein nahi jayega. Khaleel bin Ahmed radi Allah anhu ka qowl hai jo tere saamne dusre logow ki chughliyan khata hai woh teri chugliyan dusre logow ke saamne khata hoga aur jo tujhe dusre logow ki baatein batata hai woh teri baatein dusre logow ko batata hoga. Ek haq ye bhi hai ke gusse ki halat mein apne kisi janne wale se 3 din se zyadah tark e talluq na kare.

Mukashifatul quloob* Darguzar ko apnaiye, neki ka hukm kijiye....

Image
Mukashifatul quloob* Darguzar ko apnaiye, neki ka hukm kijiye.... Rabia bin Khasim radi Allah anhu ka qowl hai ke logow ki do qismein hain :- Agar tera mukhatib momin hai tow usey izza na de aur agar jahel hai tow uski jahalat mein na pado aur bande par musalman ka ye bhi haq hai ke woh har musalman se tawaze se pesh aye aur takabbur se pesh na aye kyunke Allah tala har itrane wale mutakabbir ko napasand farmata hai. Farman e Nabawi ﷺ, Allah tala ne mujhe wahi farmai hai ke tum tawaze karo aur ek dusre par fakhr o takabbur na karo, agar koi dusra tum se takabbur se pesh aye tow bardasht karo chunache Allah tala ne apne Nabi ﷺ se irshad farmaya hai :- خُذِ الْعَفْوَ وَأمُرْ بِالْمَعْرُوْفِ وَاَعْرِضْ عَنِ الْجَاهليَنَ Darguzar ko apnaiye, neki ka hukm kijiye aur jahilo'n se muh pher lijiye

Popular posts from this blog

PIGEON IS BEST FOR PARALYSIS PATIENT

Benefits Of Aloe Vera

HEALTH BENEFITS OF PAPAYA

JAMUN BENEFITS IN ENGLISH And URDU